PAPA NE MUJHKO…
Jab aya main is duniya me, Naam nahi tha mere paas.
Lekin mere papa ke mann me, Jag gayi ummeedo ki aas.
Naam kamayega beta unka, Yahi tha unka mujh pe vishwaas…..
Choti choti ungliyan pakad ke, Chalna sikhaya papa ne mujhko..
Kathin rasto me jab atka main, Aage badhna sikhaya papa ne mujhko..
Gir kabhi main jata jab bhi, Himmat rakhna sikhaya papa ne mujhko..
Meri har khwaaish ko pura kar, Khushi ka ehsaas dilaya papa ne mujhko..
Roya karta tha main jab bhi, Hasna sikhaya papa ne mujhko..
Karta tha jab bhi zid main, Kandhe pe bithaya papa ne mujhko..
Jab na lagta mera mann kabhi to, ghuma ke laya papa ne mujhko..
Jab tuta koi khilona mera, Naya le kar dilaya papa ne mujhko..
Sari taklifon aur dard ko bhula kar, Hamesha khush rehna sikhaya papa ne mujhko..
Papa mujhe samjhaya karte, Ek acha insaan banna hai tujhko..
Zindagi me bas hamesha, Badhte chale jana hai tujhko..
Padh likh kar mehnat kar ke, Har sapna pura karna hai tujhko..
Haan dosto..
Yahi hai ab mere mann ki aas..
Nam kamayega beta unka aur banaye rakhega apne papa ka vishwaas..
Kyu ki….
Khuli aankho se sapne dekh usse, pura karna sikhaya papa ne mujhko…
KAVNIK…
8/9/2011
No comments:
Post a Comment